Hans Ke Farmaate Hain Wo Dekh Kar Halat MeriHans ke farmaate hain wo dekh kar halat meri,Kyon tum aasaan samajhate the mohabbat meri;Baad marane ke bhi chhodi na rafaaqat meriMeri turbat se lagi baithi hai hasrat meri;Maine aagosh-e-tasavur mein bhi khencha to kaha,Pis gayi pis gayi bedard nazakat meri;Aaina subah-e-shab-e-vasl jo dekha to kahaDekh zaalim ye thi shaam ko soorat meri;Yaar pehalu mein hai tanhayi hai keh do nikle,Aaj kyon dil mein chhupi baithi hai hasrat meri;Husn aur ishq hum aagosh nazar aa jaate,Teri tasveer mein khinch jaati jo hairat meriKis dhitaayi se vo dil chheen ke kehte hain 'ameer'Vo mera ghar hai rahe jis mein mohabbat meri